اردو हिंदी
Be-qarari | Shaahi Shayari
be-qarari

Nazm

Be-qarari

Afroz Alam

;

rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage
dil laga kar dur mujh se jaan jaan hone lage

aankh un se jab mili to mil gaya dil ko qarar
chand-taron mein kiya karta tha main un ka shumar

dil ki dhaDkan meri uljhan be-zaban hone lage
rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage

wo sunahra harf tha uljhi hui tahrir ka
main musawwir tha kisi bikhri hui taswir ka

dhire dhire pyar mein donon jawan hone lage
rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage

barf ka mausam tha phir bhi aag mein jalte the hum
rah mein kanTe the phir bhi shauq se chalte the hum

aaj hum ek bhuli-bisri dastan hone lage
rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage