dekho tum ginti numberon ke hisab
kitab mein mat jao
sab dikhawa chhalawa sa hai
main to abhi bhi wahi sTapu khelne ki bari
ke intizar mein hun
ghar par pair paTakti nannhi bachchi si
moTe moTe aansu liye kone mein baiThi si hun
barishon mein chhap chhap kar miTTi mein sane panw
se be-parwah hawa si hun
kohre se bhare shishe par kuchh ulTa kuchh
sidha kuchh sachcha jhuTa likhti miTati
si hun
KHayal mein
apne is kesari printed phulon se bhare firaq mein
titli ke pichhe dauD lagati
bawli si ho
tum bar bar janm-din par call kar
umr ka hawala na do
mere liye to dil abhi bhi ruh ki baen taraf hai
jo biswin sal mein tha shayad
Nazm
Be-parwah umr
divya maheshwari