اردو हिंदी
Be-nang-o-nam | Shaahi Shayari
be-nang-o-nam

Nazm

Be-nang-o-nam

Shaz Tamkanat

;

raat Dhalte hi ek aawaz chali aati hai
bhul bhi jao ki main ne tumhein chaha kab tha

kis sanobar ke tale main ne qasam khai thi
koi tufan kisi punam mein uThaya kab tha

meri raaton ko kisi dard se nisbat kya thi
meri subhon ko duaon se ilaqa kab tha

ek mahmil ke sirhane koi roya tha zarur
pas-e-mahfil kisi laila ne pukara kab tha

tum yunhi zid mein hue KHak-e-dar-e-mai-KHana
mujh ko ye zom ki main ne tumhein Toka kab tha

tum ne kyun pakai-e-daman ki hikayat likkhi
mere sar ko kisi diwar ka sauda kab tha

yaad kam kam hai na chheDo mere maktub ki baat
wo murawwat thi faqat harf-e-tamanna kab tha

dil na is tarah dukha saf mukarne wale
mujh ko taslim ki teri koi taqsir na thi

ye baja hai ki tujhe zauq-e-nasheman na mila
ye ghalat hai ki mujhe hasrat-e-tamir na thi

sang-bari mein ye shishe ka makan kis ka hai
is dar-o-baam mein KHushbu-e-wafa kaisi hai

kis ki aawaz se diwaron ke sine mein figar
mere mabud mere ghar ki faza kaisi hai

chhanw dete nahin aangan ke ghanere ashjar
gham ki chhai hui ghanghor ghaTa kaisi hai

ek konpal pe tha angusht-e-hinai ka nishan
ye lahu roti hui shaKH-e-hina kaisi hai

kis ki taswir hai ye jis pe guman hota hai
jaane kab bol uThe uf ye ada kaisi hai

kis ne takiya pe ye kaDha hai gire ka misra
hae TuTi hui nindon ki saza kaisi hai

soch mein gum hun ki kis kis ki zaban band karun
aaj shayad dar o diwar ko Dhana hoga

jis mein tu hai tere wade hain teri qasmen hain
kya sitam hai ki usi ghar ko jalana hoga