abhi main barf se lipTe hue jazire par
KHud apne aap se milne ki aarzu le kar
laga hua hun sawere ko sham karne mein
samundaron mein ubharte bhanwar bulate hain
ufuq se aati sadaen bhi khinchti hain magar
main apni soch se bahar nikal nahin sakta
ajib KHwabon ka be-nam silsila hai ye
ki zindagi se koi rabta nahin milta
KHud apni khoj mein masruf rahne walon ko
kisi daraKHt ka saya bhi yan nahin milta
Nazm
Be-nam silsile
Shariq Adeel