dariche baz the
ThanDi hawa ki narm dastak se
nawa-e-nim-shab
aankhen ThiThak kar khul gain
mahtab ke KHamosh jadu se
samundar bhi humakta tha
mujhe wo nam kya dena
jhalak KHud ism gar ki jis mein aati ho
mujhe kyun qaid karte ho
main muTThi mein sama jaun
tilismi taqaten be-asra bandon ko dahlaen
kahin diwar par chaspan
garebanon ki zinat mein
balaon se hifazat kar sakun
kyun nam dete ho
hazaron qarna-ha qarnon se
yun hi chand barsa hai
samundar aah bharta hai
moattar phul ke gajron mein bas kar
faslon ke lams ki duri taDapti hai
mujhe mahsus kar lo
aankh-bhar kar dekh lo
phir nind ki tah mein
thirakte barg aawara ki surat
Dubte jao
mujhe be-nam rahne do
Nazm
Be-nam
Abrarul Hasan