mujh ko sone do
sadiyon jaisi gahri lambi nind
jis mein koi KHwab na ho
mujh ko sone do
us laDki ki nind
jo apni aankhen
meri aankhon mein rakh kar
bhul gai hai!
mujh ko sone do
un logon ki nind
jin ki aankhon mein
baadal aur parinde uDte hain
dariya bahte hain
lekin wo pyase rahte hain
mujh ko sone do
chaaron samt bichhe sahrao!
mere dil mein ek samundar hai
mujh ko is mein apne
sare KHwab Dubone do
mujh ko rone do!
mujh ko sone do!!
Nazm
Be-KHwabi ki aakas bel par khili KHwahish
Naseer Ahmad Nasir