na jaane kaun wo bahrupiya hai
jo har shab
meri thaki hui palkon ki sabz chhanw mein
tarah tarah ke karishme dikhaya karta hai
lapakti surKH lapaT
jhumti hui Dali
chamakte tal ke pani mein Dubta patthar
ubharte phailte gheron mein tairte KHanjar
uchhalti gend rabaD ki sadhe hue do hath
sulagte khet ki miTTi pe TuTti barsat
ajib KHwab hain ye
bina wazu kiye soi nahin kabhi main to
main sochti hun
kisi roz apni bhabi ke
chamakte panw ki pazeb toD kar rakh dun
baDi sharir hai har waqt shor karti hain
kisi tarah sahi be-KHwab nind to aae
ghaDi ghaDi ki musibat se jaan chhuT jae
Nazm
Be-KHwab nind
Nida Fazli