sahar hote kiya hai jab bhi aaghaz safar main ne
to har ek moD par har rah par har ek basti mein
yahi puchha hai mujh se kaun hun kya nam hai mera
meri manzil kahan hai kaun sa shahr-e-tamanna hai
ki jis ki did ka arman hai jis ka sar mein sauda hai
sawalon ko mere shauq-e-safar ki aagahi dene
nazar uThti KHala ki wusaton mein Dub kar kahti
ufuq ke par suraj ke sunahri baam se aage
zamin-o-asman ki sarhaden jis ja pe milti hain
mera shahr-e-tamanna hai wahin tak mujh ko jaana hai
ye duniya mujh ko diwana samajh kar mujh pe hansti hai
Nazm
Be-karan
Zubair Rizvi