nuzul-e-kashf ki rah mein safed darwaze
qadam-burida-musafir se puchhte hi rahe
tere safar mein to ujle dinon ki barish thi
teri nigahon mein KHufta dhanak ne karwaT li
bala ki nind mein bhi hath jagte the tere
tamam pahlu masafat ke samne the tere
teri gawahi pe to phul phalne lagte the
tere hi sath wo manzar bhi chalne lagte the
Thahar gae the jo baam-e-zawal par ek din
hanse the khul ke jo ahd-e-kamal par ek din
tere junun pe qayamat guzar gai kaise
riyazaton ki wo rut be-samar gai kaise
Nazm
Be-hunar saaton mein ek sawal
Jameel ur Rahman