KHwab ki saltanat se udhar
ek jahan hai jise aankh aabaad kar le to kar le
wahan sae hi sae hain
aksar o besh-tar dhup mein raqs karte hue
rezgari ki aawaz par dhaDkanen tal deti hain to jhilmilate hain
aankhon mein KHwab
(apna ghar us ke dar-ul-KHilafe mein hai)
subh se sham tak
note ginti hui ungliyan yun thirakti hain
jaise tamannaon ko thapkiyan de shab-e-hijr mein ek birhan ka dil
roz KHwabon ki punji mein sikkon ke girne se ek gunj uThti hai
goya kahin Tin ki chhat pe barish ke qatre paDen
roz ek ghar tamanna ke malbe se aankhon ke patal mein jhankta hai
wahi be-ghari be-zamini ka dukh aaj tak mujh ko ghere hue hai
main chand aur suraj ki surat falak-dar-falak tairta hun
mere KHwab mujh ko uDae liye ja rahe hain
main pamal hoti hui aarzu mein kahan tak jiyunga
Nazm
Be-ghari
Tabish Kamal