KHudawanda
tujhe malum hai main ne
ye apni umr
kis be-faiz mausam ki rifaqat mein guzari hai
yaqin-o-be-yaqini ki aziyyat mein guzari hai
KHudawanda
tujhe malum hai mere
har ek jaanib teri sau neamaten
bikhri hui thin
hazaron raste the
manzilen thin
raushni thi
rang the KHushbu thi
phulon se ladi shaKHen thin KHwahish ki
tamannaen labon par muskurahaT ke
kai naghme sajae raqs karti thin
kai jugnu meri shamon ke aangan se guzarte the
meri har aarzu ki apni peshani thi aur un se
kai suraj ubharte the
kai mahtab chehre
jhil si aankhen liye mere taaqub mein nikalte the
mujhe aawaz de kar
rokne ki koshishen karte na thakte the
kai dildar mausam the
ki jin mein titliyan barish ke rangon mein nahati
hath phailati
mare qurb-o-jawar dida-o-dil se guzarti thin
magar main ne
KHudawanda
tujhe malum hai main ne
teri sari inayat ko
teri un neamaton ko aankh bhar kar bhi nahin dekha
KHudawanda
tujhe malum hai
tu jaanta hai
ki mere dil aur meri aankhon mein bas wo
mausam-e-dil-dar basta tha
isi mausam ki chahat
aur mohabbat ka kahin
iqrar basta tha
isi mausam ko dil ne apni subh-sham jaana tha
agarche rah mein aaya hua sara zamana tha
KHudawanda tujhe malum hai
tu jaanta hai
dilon ke zaKHm
aur aankhon ki sari kaifiyat pahchanta hai
magar main ne
use jaanana pahchana
mujhe jo bhi kaha us ne
usi ko zindagi jaana
usi ko raushni jaana
KHudawanda
tujhe malum hai us ne
basar ki zindagi meri
chura li raushni meri
tujhe malum hai sab kuchh
KHudawanda tujhe malum hai sab kuchh
meri umr-e-guzishta ka
meri umr-e-rawan ka
ek ek lamha
usi be-faiz mausam ki rifaqat ke hi kaam aaya
magar ab main
KHudawanda
magar ab main mohabbat ke
usi be-faiz mausam ki rifaqat ke
azabon
aur KHwabon se
thaka-haara hua insan
rihai chahta hun
teri sau neamaten hain
un se tanhai ki neamat chahta hun
KHudawanda tujhe malum hai main ne
ye apni umr kas be-faiz mausam ki rifaqat mein guzari hai
yaqin-o-be-yaqini ki aziyyat mein guzari hai
KHudawanda
mujhe tanhai ki neamat ata kar de
Nazm
Be-faiz mausam ki rafaqat mein
Munawwar Jameel