اردو हिंदी
Be-bak andhere | Shaahi Shayari
be-bak andhere

Nazm

Be-bak andhere

Fareed Ishrati

;

jab kabhi shab ke tilismat mein kho jata hun
ya tere husn ki aaghosh mein so jata hun

teri taswir ubharti hai pas-e-parda-e-KHwab
ek TuTe hue be-laus sitare ki tarah

chir kar sina-e-afaq ki tarik faza
az-rah-e-wafa teri taswir uTha leta hun

aariz-o-lab ke jawan git chura leta hun
dur tak jada-e-farda pe mahak uThte hain

ummid ke phul KHwab-e-farda ke gulab
jagmagate hain mere dal ke charagh

aur jab sarhad-e-idrak pe sine se lagae hue taswir teri
sans leta hun Thahar jata hun

na-gahan
aandhiyan chalti hain uDati hui dhul

gham ke tufan machal jate hain
teri taswir ke ubhre hue sab naqsh-o-nigar

ja ke bebak andheron se lipaT jate hain