yahi waqt tha
han yahi waqt tha
balki tariKH bhi to yahi thi
jab ek mehrban hath ne
jaane kya soch kar bas achanak
meri ruh ko thapthapaya
mere dil ko thama
ajab ek waraftagi se
aur kuchh pur-fusun aagahi se
mere sin-rasida
dil-o-jaan ko us ne
hayat-afrin lams se bhar diya
apni nazron mein KHud mo'atabar kar diya
sochta hun anokhi thin wo saaten kis qadar
kya ajab meri aql-o-KHirad par asar tha
zamanon jahanon se main be-KHabar tha
sitare zamin aasman kahkashan sab mere panw ki dhul the
hawa bhi ki jis samt chalti mere hukm se
aur KHushbu ki pahlu badalti mere hukm se
main ki masruf tha roz-o-shab baadalon ke safar mein
main dil tha nazar tha hawa tha KHuda tha kisi ki nazar mein
ki be-misl yakta yagana tha main apne har ek hunar mein
meri tabnaki mera nur-e-kaamil tha shams-o-qamar mein
magar ek din phir achanak
ajab saneha ho gaya
aur jaise mera baKHt hi so gaya
iKHtiyar-o-tafaKHur ka wo silsila kho gaya
ab to bas main hun aur matam-e-arzu
zindagi kuchh nahin ma-siwa ha-o-hu
dam-ba-dam dam-ba-dam haarti justuju
ek aawaz aise mein aati hui
dil ki himmat dobara bandhati hui
kah rahi hai musalsal ki ye KHwab hai
KHauf hai wahm hai sehr hai
is ko hargiz haqiqat na jaan
aur main zindagi maut ke darmiyan
ta-ba-hadd-e-karan be-aman be-aman be-aman
Nazm
Be-aman
Mubeen Mirza