tum
jo miTTi mausam aur rang pahchante ho
apne talwon ko khurach kar dekho to an-ginat sadiyon
purani miTTi ka lams pa kar KHush hoge
tum jo miTTi ho
aur zara ghaur se dekho to tumhaare jism ki
bairuni sathon par
be-shumar mausamon ke nishan
tumhein saf dikhai denge
tum jo mausam to nahin ho lekin
mausamon hi se janme ho
aur mausamon ka ras pi kar hi parwan chaDhe ho
aao tumhein mausam ki sangya de den
aur rangon se to tumhaara nata waisa hi hai
jaisa miTTi aur mausam ka hai
tum jo miTTi mausam aur rang pahchante ho
KHud miTTi KHud mausam aur KHud rang ho
Nazm
MiTTi mausam aur rang
Mushtaq Ali Shahid