kitni dilkash hoti hain KHush-fahmiyan
KHatm hone se pahle
baDe rangin hote hain KHwab
bikharne se pahle
bahut hasin hote hain phul
murjhane se pahle
behad KHub-surat hoti hai mohabbat
bewafai se pahle
har aaghaz pahunchta hai anjam ko
milan ka pichha karti hai judai
din ke pahlu mein rahti hai raat
aur zindagi ka daman thame
saya si chalti hai maut
zindagi ke utar-chaDhao
dil par chhoD jate hain naqsh
agar insan ka bas chalta
kya wo KHushi ke pal hi nahin chunta
Nazm
Badalte pahlu
Elizabeth Kurian Mona