raat utarti gai
mujh ko KHabar hi na thi
kaghaz-e-be-rang mein sard-hawas-jang mein
subh se masruf log apni chadar mein band
aankh khaTakti nahin
dil pe barasti nahin
KHushk-hansi be-namak shahr faza mein buland
tang-gali ki hawa
sham ko chuhon ki dauD
tez-qadam gurba-e-shah jahan kab jhapaT legi kise
kya pata
nind ka uncha makan raushniyon se saja
hum sab ki khiDkiyan darwaze band hain
ghar ki chhaten aahani
ghar ki hifazat karo ghar ki hifazat karo
raat utarti rahe hum ko dikhai na de
hum pe hawa ilzam kyun
Nazm
Bayan safai
Shamsur Rahman Faruqi