purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
wo sab pyase the
milon ki masafat se badan behaal tha un ka
jahan bhi jate wo dariyaon ko sukha hua pate
ajab banjar zaminon ka safar darpesh tha un ko
kahin pani na milta tha
khajuron ke daraKHton se unhon ne unT bandhe
aur thak kar so gae sare
unhon ne KHwab mein dekha
khajuron ke daraKHton ki qataren KHatm hoti hain jahan
pani chamakta hai
wo sab jage
har ek jaanib tahayyur se nazar Dali
wo sab uTThe
mahaaren tham kar hathon mein unTon ki
khujuron ke daraKHton ki qataren KHatm hone mein na aati thin
zabanen sukh kar kanTa hui thin
aur unTon ke qadam aage na uThte the
wo sab chiKHe
bashaarat dene wale ko sada di
aur zamin ko pair se ragDa
har ek jaanib tahayyur se nazar Dali
khujuron ke daraKHton ki qataren KHatm thin
pani chamakta tha!!
Nazm
Bashaarat pani ki
Zubair Rizvi