lo phir basant aai
phulon pe rang lai
chalo be-darang
lab-e-ab-e-gang
baje jal-tarang
man par umang chhai
phulon pe rang lai
lo phir basant aai
aafat gai KHizan ki
qismat phiri jahan ki
chale mai-gusar
su-e-lala-zar
ma-e-parda-dar
shishe ke dar se jhanki
qismat phiri jahan ki
aafat gai KHizan ki
kheton ka har charinda
baghon ka har parinda
koi garm-KHez
koi naghma-rez
subuk aur tez
phir ho gaya hai zinda
baghon ka har parinda
kheton ka har charinda
dharti ke bel-buTe
andaz-e-nau se phuTe
hua baKHt sabz
mila raKHt sabz
hain daraKHt sabz
ban ban ke sabz nikle
andaz-e-nau se phuTe
dharti ke bel-buTe
phuli hui hai sarson
bhuli hui hai sarson
nahin kuchh bhi yaad
yunhi ba-murad
yunhi shad shad
goya rahegi barson
bhuli hui hai sarson
phuli hui hai sarson
laDkon ki jang dekho
Dor aur patang dekho
koi mar khae
koi khilkhilae
koi munh chiDhae
tifli ke rang dekho
Dor aur patang dekho
laDkon ki jang dekho
hai ishq bhi junun bhi
masti bhi josh-e-KHun bhi
kahin dil mein dard
kahin aah-e-sard
kahin rang-e-zard
hai yun bhi aur yun bhi
masti bhi josh-e-KHun bhi
hai ishq bhi junun bhi
ek naznin ne pahne
phulon ke zard gahne
hai magar udas
nahin pi ke pas
gham-o-ranj-o-yas
dil ko paDe hain sahne
ek naznin ne pahne
phulon ke zard gahne
Nazm
Basanti tarana
Hafeez Jalandhari