saqi kuchh aaj tujh ko KHabar hai basant ki
har su bahaar pesh-e-nazar hai basant ki
sarson jo phul uTThi hai chashm-e-qayas mein
phule-phale shamil hain basanti libas mein
patte jo zard zard hain sone ke pat hain
sadbarg se talai kiran phul mat hain
hain chuDiyon ki joD basanti kalai mein
ban ke bahaar aai hai dast-e-hinai mein
masti bhare dilon ki umangen na puchhiye
kya mantiqen hain kya hain tarangen na puchhiye
mathe pe husn-KHez hai jalwa gulal ka
bindi se auj par hai sitara jamal ka
gendon se mail-e-gul-e-bazi hasin hain
sar ke ubhaar par se dupaTTe mahin hain
aks-e-naqab zinat-e-ruKHsar ho gaya
zewar jo sim ka tha tala-kar ho gaya
sarson ke lahlahate hain khet is bahaar mein
nargis ke phul phul uThe lala-zar mein
aawaz hai papihon ki masti bhari hui
tuti ke bol sun ke tabiat hari hui
koyal ke joDe karte hain chuhlen surur se
aate hain tan uDate hue dur dur se
baur aam ke hain yun chaman-e-kaenat mein
moti ke jaise guchchhe hon zar-kar pat mein
bheron ki gunj mast hai har kisht-zar mein
bansi bajate kishn hai goya bahaar mein
kesar kusum ki KHub dil-afza bahaar hai
gendon ki har chaman mein do-ruya qatar hai
ek aag si lagai hai Tesu ne phul ke
kya zard zard phul khile hain babul ke
hai isT dewtao ke mandir saje hue
hain zard zard phulon se kul dar saje hue
bas dew-ji ke lal ki jhanki ajib hai
aanand be-hisab dilon ko nasib hai
bansi jaDaw sone ki lab se mili hui
dil ki kali kali hai nazar mein khili hui
pitambar nafis kamar mein kasa hua
KHushbu se haar phul ki mandir basa hua
shanon pe bal paDe hue zulf-e-siyah ke
radha se bar bar ishaare nigah ke
banki adaen dekh ke dil loT-poT hai
rutkaam istiri ke kaleje pe choT hai
kanon mein kunlon ki chamak hai jaDaw se
radha lajai jati hai chanchal subhaw se
pyari ka hath apni baghal mein liye hue
aankhen sharab-e-husn-e-jawani piye hue
dil radhika ka baada-e-ulfat se chur hai
kuhni se Thelne ki ada ka zuhur hai
chupki khaDi hai kishn ke ruKH par nigah hai
hai pahlu-e-jigar mein jagah dil mein rah hai
ulfat bhari jo bansi ki jaanib nazar gai
goya basant ki rag ki dhun mast kar gai
is chhab pe is singar pe dil se nisar 'ufuq'
qurban ek bar nahin lakh bar 'ufuq'
ai kishn nazirin ko mubarak basant ho
khela jo apne wo abad tak basant ho
Nazm
Basant aur holi ki bahaar
Ufuq Lakhnavi