اردو हिंदी
Bas lauT aana | Shaahi Shayari
bas lauT aana

Nazm

Bas lauT aana

Saleem Figar

;

sachchaiyan apne waqt mein
kabhi ji nahin patin

sau aankhon ne hamesha
lamhon se dhoke khae

tumhein kaise ruKHsat karun
ki ye baat imam-zamin aur dua se

bahut aage bahut aage hai
hatheliyon ke gardab phisalte phisalte

binai ki dahliz pe aa baiThe hain
ungliyan kanon ko kahan tak dastak se dur rakhengi

duaon ki chhatri mein aksar
suraKH rah jate hain

main tumhein kaun si chadar tohfa dun
ki aaj-kal jaulan hai

izzat se zyaada kaghaz kamane ke chakkar mein hain
main ne muTThi khol kar dekhi

to sab lakiron se zyaada banjh niklin
mere pas sabz nahin hain

ki zard patton ki wusat ne KHak se nil tak
sarson ka mausam ka shat kar rakha hai

mere pas kuchh bhi nahin
bas lauT aana

ki tumhaare aane tak
meri aankhen tirgi ki salaKHon mein qaid rahengi