apne apne hi KHol mein hum tum
kaise KHud ko chhupa ke baiTh gae
hum ko apni ana ka pas raha
aur sare KHayal bhul gae
KHwab jo hum ne sath dekhe the
sare wo kaise tar tar hue
sare wade wafa ke TuT gae
aur arman sab hi KHak hue
dekhne mein to main shagufta hun
tum bhi shadab sab ko lagte ho
ek haqiqat magar main jaanti hun
ye ba-zahir nazar jo aata hai
aaina wo hamare dil ka nahin
hum to ek dusre ki furqat mein
zinda rahna muhaal kahte the
aks wo bhi hamari zat ka tha
aks ye bhi hamari zat ka hai
hai udasi to chaaron-samt magar
zeb-tan kar ke KHol KHushiyon ka
hum ko apna bharam bhi rakhna hai
chahe gham ke pahaD jitne giren
bas ana ko bahaal rakhna hai
Nazm
Bas ana ko bahaal rakhna hai
Sabeela Inam Siddiqui