اردو हिंदी
Barso ram dhaDake se | Shaahi Shayari
barso ram dhaDake se

Nazm

Barso ram dhaDake se

Sahir Ludhianvi

;

barso ram dhaDake se
buDhiya mar gai faqe se

kal-jug mein bhi marti hai sat-jug mein bhi marti thi
ye buDhiya is duniya mein sada hi faqe karti thi

jina us ko ras na tha
paisa us ke pas na tha

us ke ghar ko dekh ke laxmi muD jati thi nake se
barso ram dhaDake se

jhuTe TukDe kha ke buDhiya tapta pani piti thi
marti hai to mar jaane do pahle bhi kab jiti thi

jai ho paise walon ki
gehun ke dallalon ki

un ka had se baDha munafea kuchh hi kam hai Dake se
barso ram dhaDake se