hain is hawa mein kya kya barsat ki bahaaren
sabzon ki lahlahahaT baghat ki bahaaren
bundon ki jhamjhamawaT qatraat ki bahaaren
har baat ke tamashe har ghat ki bahaaren
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
baadal hawa ke upar ho mast chha rahe hain
jhaDiyon ki mastiyon se dhumen macha rahe hain
paDte hain pani har ja jal-thal bana rahe hain
gulzar bhigte hain sabze naha rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
mare hain mauj Dabar dariya daunD rahe hain
mor-o-papihe koyal kya kya rumanD rahe hain
jhaD kar rahi hain jhaDiyan nale umanD rahe hain
barse hai munh jhaDa jhaD baadal ghumanD rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jangal sab apne tan par hariyali saj rahe hain
gul phul jhaD-buTe kar apni dhaj rahe hain
bijli chamak rahi hai baadal garaj rahe hain
allah ke naqare naubat ke baj rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
baadal laga Takoren naubat ki gat lagawen
jhengur jhangar apni surnaiyan bajawen
kar shor mor bagule jhaDiyon ka munh bulawen
pi pi karen papihe meinDak malaren gawen
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
har ja bichha raha hai sabza hare bichhaune
qudrat ke bichh rahe hain har ja hare bichhaune
jangalon mein ho rahe hain paida hare bichhaune
bichhwa diye hain haq ne kya kya hare bichhaune
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
sabzon ki lahlahahaT kuchh abr ki siyahi
aur chha rahi ghaTaen surKH aur safed kahi
sab bhigte hain ghar ghar le ma-ta-ba-mahi
ye rang kaun range tere siwa ilahi
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kya kya rakhe hain yarab saman teri qudrat
badle hai rang kya kya har aan teri qudrat
sab mast ho rahe pahchan teri qudrat
titar pukarte hain subhan teri qudrat
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koyal ki kuk mein bhi tera hi nam haiga
aur mor ki zaTal mein tera payam haiga
ye rang sau maze ka jo subh-o-sham haiga
ye aur ka nahin hai tera hi kaam haiga
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
bolin bae baTeren qumri pukare ku-ku
pi pi kare papiha bagule pukaren tu-tu
kya hudhudon ki haq haq kya faKHaton ki hu-hu
sab raT rahe hain tujh ko kya pankh kya pakheru
kya kya machi hain yaro barsat ki maren
jo mast hon idhar ke kar shor nachte hain
pyare ka nam le kar kya zor nachte hain
baadal hawa se kar kar ghanghor nachte hain
meinDak uchhal rahe hain aur mor nachte hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
phulon ki sej upar sote hain kitne ban-ban
so hain gulabi joDe phulon ke haar abran
kitnon ke ghar hai khana sona lage hai aangan
kone mein paD rahi hain sar munh lapeT sogan
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo KHush hain wo KHushi mein kaTe hain raat sari
jo gham mein hain unhon par guzre hai raat bhaari
sinon se lag rahi hain jo hain piya ki pyari
chhati phaTe hai un ki jo hain birah ki mari
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo wasl mein hain un ke juDe mahak rahe hain
jhulon mein jhulte hain gahne jhamak rahe hain
jo dukh mein hain so un ke sine phaDak rahe hain
aahen nikal rahi hain aansu Tapak rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
ab birhanon ke upar hai saKHt be-qarari
har bund marti hai sine upar kaTari
badli ki dekh surat kahti hain bari bari
hai hai na li piya ne ab ke bhi sudh hamari
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jab koyal apni un ko aawaz hai sunati
sunte hi gham ko mare chhati hai umnDi aati
pi pi ki dhun ko sun kar be-kal hain kahti jati
mat bol ai papihe phaTti hai meri chhati
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
hai jin ki sej suni aur KHali chaarpai
ro ro unhon ne har-dam ye baat hai sunai
pardesi ne hamari ab ke bhi sudh bhulai
ab ke bhi chhawni ja pardes mein hai chhai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitnon ne apni gham se ab hai ye gat banai
maile kuchaile kapDe aankhen bhi DabDabai
ne ghar mein jhula Dala ne oDhni rangai
phuTa paDa hai chulha TuTi paDi kaDhai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
gati hai git koi jhule pe kar ke phera
maro ji aaj kijiye yan rain ka basera
hai KHush kisi ko aa kar hai dard-o-gham ne ghera
munh zard baal bikhre aur aankhon mein andhera
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
aur jin ko ab muhayya husnon ki Dheriyan hain
surKH aur sunahre kapDe ishrat ki gheriyan hain
mahbub dilbaron ki zulfen bikheriyan hain
jugnu chamak rahe hain raaten andheriyan hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne to bhang pi pi kapDe bhigo rahe hain
bahen gulon mein Dale jhulon mein so rahe hain
kitne birah ke mare sudh apni kho rahe hain
jhule ki dekh surat har aan ro rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
baiThe hain kitne KHush ho unche chhua ke bangle
pite hain mai ke pyale aur dekhte hain jangle
kitne phire hain bahar KHuban ko apne sang le
sab shad ho rahe hain umda gharib kangle
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitnon ko mahlon andar hai aish ka nazara
ya saeban suthra ya bans ka usara
karta hai sair koi koThe ka le sahaara
muflis bhi kar raha hai pole tale guzara
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
chhat girne ka kisi ja ghul shor ho raha hai
diwar ka bhi dhaDka kuchh hosh kho raha hai
dar dar haweli wala har aan ro raha hai
muflis so jhopDe mein dil-shad so raha hai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
muddat se ho raha hai jin ka makan purana
uTh ke hai un ko meinh mein har aan chhat pe jaana
koi pukarta hai Tuk mori khol aana
koi kahe hai chal bhi kyun ho gaya diwana
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi pukarta hai lo ye makan Tapka
girti hai chhat ki miTTi aur saeban Tapka
chhalni hui aTari koTha nidan Tapka
baqi tha ek usara so wo bhi aan Tapka
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
uncha makan jis ka hai pach khana siwaya
upar ka khan Tapak kar jab pani niche aaya
us ne to apne ghar mein hai shor-ghul machaya
muflis pukarte hain jaane hamara
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
sabzon pe bir bhuTi Tilon upar dhaturee
pissu se machchharon se roe koi basore
bichchhu kisi ko kaTe kiDa kisi ko ghure
aangan mein kansalai konon mein khankhajure
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
phunsi kisi ke tan mein sar par kisi ke phoDe
chhati ye garmi dane aur piTh mein daroDe
kha puriyan kisi ko hain lag rahe maroDe
aate hain dast jaise dauDen iraqi ghoDe
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
patli jahan kisi ne dal aur kaDhi pakai
makkhi ne wohin boli aa unT ki bulai
koi pukarta hai kyun KHair to hai bhai
aise jo khanste ho kya kali mirch khai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jis gul-badan ke tan mein poshak sausani hai
so wo pari to KHasi kali-ghaTa bani hai
aur jis pe surKH joDa ya udi oDhni hai
us par to sab ghulawaT barsat ki chhani hai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
badanon mein khab rahe hain KHubon ke lal joDe
jhamken dikha rahe hain pariyon ke lal joDe
lahren bana rahe hain laDkon ke lal joDe
aankhon mein chubh rahe hain pyaron ke lal joDe
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
aur jis sanam ke tan mein joDa hai zafrani
gulnar ya gulabi ya zard surKH dhani
kuchh husn ki chaDhai aur kuchh nai jawani
jhulon mein jhulte hain upar paDe hai pani
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi to jhulne mein jhule ki Dor chhoDe
ya sathiyon mein apne panw se panw joDe
baadal khaDe hain sar par barse hain thoDe thoDe
bundon mein bhigte hain lal aur gulabi joDe
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitnon ko ho rahi hai us aish ki nishani
sote hain sath jis ke kahti hai wo siyani
is waqt tum na jao ai mere yar-e-jaani
dekho to kis maze se barse hai aaj pani
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne sharab pi kar ho mast chhak rahe hain
mai ki gulabi aage pyale chhalak rahe hain
hota hai nach ghar ghar ghunghru jhanak rahe hain
paDta hai meinh jhaDa-jhaD table khaDak rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
hain jin ke tan mulaem maide ki jaise loi
wo is hawa mein KHasi oDhe phire hain loi
aur jin ki muflisi ne sharm-o-haya hai khoi
hai un ke sar pe sar ki ya boriye ki khoi
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne phire hain oDhe pani mein surKH paTTu
jo dekh surKH badli hoti hai un pe laTTu
kitnon ki gaDi rath hain kitnon ke ghoDe TaTTu
jis pas kuchh nahin hai wo hum sa hai nikhaTTu
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo is hawa mein yaro daulat mein kuchh baDhe hain
hai un ke sar pe chhatri hathi pe wo chaDhe hain
hum se gharib ghoraba kichaD mein gir paDe hain
hathon mein jutiyan hain aur paenche chaDhe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
hai jin kane muhayya pakka pakaya khana
un ko palang pe baiThe jhaDiyon ka KHat uDana
hai jin ko apne ghar mein yan lon tel lana
hai sar pe un ke pankha ya chhaj hai purana
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne KHushi se baiThe khate hain KHush mahal mein
kitne chale hain lene baniye se qarz pal mein
kandhe pe dal aaTa haldi girah ne mal mein
hathon mein ghi ki pyali aur lakDiyan baghal mein
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo kasbiyan jawanen husnon mein purtiyan hain
sinon mein lal angiyan aur lal kurtiyan hain
nazren bhi badliyan hain dil mein bhi surtiyan hain
ek ek nigah mein kafir bijli ki phurtiyan hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo naujawan hain un ki tayyariyan baDi hain
hathon mein lal chhaDiyan koThon pe wo khaDi hain
aur wo jo aashna se jhagDi hain ya laDi hain
munh ko chhupa palang par machli hui paDi hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi apne aashna se kar naz ka jhapaTTa
kahti hai hans ke kafir chuTki le ya nihaTTa
tum se to dil hamara ab ho gaya hai khaTTa
tum aaj bhi na lae ranwa mera dupaTTa
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahti hain koi mujh ko joDa soha bana do
ya TaT bafi juta ya kafsh-e-surKH la do
koi kahe hai meri kurti abhi ranga do
ya garm se andarse ek sair bhar manga do
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo un ke mubtala hain sab chiz la rahe hain
kurti bana rahe hain angiya ranga rahe hain
jo jo hain un ki baaten sab kuchh uTha rahe hain
bahen gale mein Dale ishrat mana rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitnon ne qaul bandha mamuli de ke paise
kahte hain shad ho kar yun apne aashna se
barsat-bhar to mil ke sunte ho jaan pyare
ahmaq ho jo palang se ab mutne ko utre
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
ye sun ke un se hans hans kahti hai shoKH ranDi
mamuli ab to le kar bandi bhi hai ghamanDi
hum pahnen lal joDa tum pahno KHasi banDi
KHandi ho jo tumhaari chhati kare na ThanDi
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
zardar ki to un mein hai bichh rahi palangaDi
dilbar pari si baiThi jhamkae chuDi nibagaDi
muflis ki TuTi paTTi ya TaT ki jhalangaDi
ranDi mili to kali ya kunji luli langDi
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kurti gulabi jin mein goTe lage hue hain
angiyan ke gard jhuTe goTe Take hue hain
kahti hain un se hans hans jo jo kaTe hue hain
la ab to mere tujh par barah Take hue hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo begami hai ghar mein aaram kar rahi hai
pardon mein doston se paigham kar rahi hai
chitwan lawaTon se sau dam kar rahi hai
chupke hi chupke apna sab kaam kar rahi hai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahta hai koi apne mahbub sim-bar se
wo is meinh mein na jao pyare hamare barse
koi kahe hai apne dildar-e-KHush-nazar se
hathon se mere jaani kha le ye do andarse
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahta hai koi pyari jo kuchh kaho sau la den
zar-dozi TaT-bafi juta kaho pahna den
peDa jalebi laDDu jo khao so manga den
chira dupaTTa jama jaisa kaho ranga den
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jin dilbaron ke tan par hain garmi dane aale
kahte hain un ko aashiq yun pyar se bula le
kya meinh baras raha hai pyare zara naha le
chhati nahin to pyare Tuk piTh hi mila le
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
is rut mein hain jahan tak gulzar bhigte hain
shahr-o-dayar kuche bazar bhigte hain
sahra-o-jhaD buTe kohsar bhigte hain
aashiq naha rahe hain dildar bhigte hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahti hai jab wo sun kar ye baat bhig ahmaq
marungi tere aa kar ek lat bhig ahmaq
mujh ko bhi zid chaDhi hai din-raat bhig ahmaq
yunhi to ab ke sari barsat bhig ahmaq
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
zardar ki to sun kar aawaz wo pari-ru
kahti hai launDiyon se jaldi kiwaD kholo
muflis koi pukare to is se kahti hai wo
hargiz koi na bolo ahmaq ko bhigne do
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi yar se kahe hai ai dil-sitan aao
badli baDi uThi hai kahne ko man aao
kya meinh baras raha hai har ek makan aao
raaten andheriyan hain ai meri jaan aao
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi raat ko pukare pyare main bhigti hun
kya teri ulfaton ke mare main bhigti hun
aai hun teri KHatir aa re main bhigti hun
kuchh to taras tu mera kha re main bhigti hun
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi pukarti hai dil saKHt bhigti hun
kanpe hai meri chhati yak-laKHt bhigti hun
kapDe bhi tar-ba-tar hain aur saKHt bhigti hun
jaldi bula le mujh ko kambaKHt bhigti hun
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
shisha kahin gulabi botal jhamak rahi hai
rabil motiya ki KHushbu mahak rahi hai
chhati se chhati lag kar ishrat chhalak rahi hai
pae khaTak rahe hain paTTi chaTak rahi hai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi pukarti hai kya kya mujhe bhigoya
koi pukarti hai kaisa mujhe bhigoya
nahaq qarar kar ke jhuTa mujhe bhigoya
yun dur se bula kar achchha mujhe bhigoya
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jin dilbaron ki KHatir bhige hain jin ke joDe
wo dekh un ki ulfat hote hain thoDe thoDe
le un ke bhige kapDe hathon mein dhar nichoDe
chira koi sungawe jama koi nichoDe
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kichaD se ho rahi hai jis ja zamin phisalni
mushkil hui hai wan se har ek ko rah chalni
phisla jo panw pagDi mushkil hai phir sambhalni
joti giri to wan se kya tab phir nikli
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne to à¤à¥à¤à¥à¥à¤ ki daldal mein phans rahe hain
kapDe tamam gandi daldal mein bas rahe hain
kitne uThe hain marmar kitne ukas rahe hain
wo dukh mein phans rahe hain aur log hans rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahta hai koi gir kar ye ai KHudae lijo
koi Dagmaga ke har-dam kahta hai wae lijo
koi hath uTha pukare mujh ko bhi hae lijo
koi shor kar pukare girne na pae lijo
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
gir kar kisi ke kapDe daldal mein hain moattar
phisla koi kisi ka kichaD mein munh gaya bhar
ek do nahin phisalte kuchh is mein aan aksar
hote hain saikDon ke sar niche panw upar
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
ye rut wo hai ki jis mein KHurd-o-kabir KHush hain
adna gharib muflis shah-o-wazir KHush hain
mashuq shad-o-KHurram aashiq asir KHush hain
jitne hain ab jahan mein sab ai 'nazir' KHush hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
Nazm
Barsat ki bahaaren
Nazeer Akbarabadi