tha daraKHton ko abhi aalam-e-hairat aisa
jaise dilbar se yakayak koi ho jae do-chaar
Daliyan hilne lagen tez hawaen jo chalen
patte patte mein nazar aane lagi taza bahaar
sansanahaT hui jhonkon se hawa ke aisi
chhaT gain hun kahin lakhon hi hawai yakbar
rad garja are wo dekhna bijli chamki
halki halki si wo paDne lagi bundon ki phuwar
raat tarik hai aaya hai umanD kar baadal
main akela na koi yar na koi gham-KHwar
sard jhonkon mein hawa ke hai latafat aur dil
us ka KHwahan hai nahin milne ke jis ke aasar
aisi bechaini KHudaya na ho dushman ko nasib
us se bad-tar na kisi ko ho ilahi aazar
Nazm
Barsat aur shair
Azeemuddin Ahmad