garmi ki tapish bujhane wali
sardi ka payam lane wali
qudrat ke ajaibaat ki kan
aarif ke liye kitab-e-irfan
wo shaKH-o-daraKHt ki jawani
wo mor-o-malaKH ki zindagani
wo sare baras ki jaan barsat
wo kaun-e-KHuda ki shan barsat
aai hai bahut duaon ke baad
wo saikDon iltijaon ke baad
wo aai to aai jaan mein jaan
sab the koi din ke warna mehman
garmi se taDap rahe the jaan-dar
aur dhup mein tap rahe the kohsar
bhubal se siwa tha reg-e-sahra
aur khaul raha tha aab-e-dariya
sanDe the bilon mein munh chhupae
aur hanp rahe the chaarpae
thin lomaDiyan zaban nikale
aur lu se hiran hue the kale
chiton ko na thi shikar ki sudh
hirnon ko na thi qatar ki sudh
the sher paDe kachhaar mein sust
ghaDiyal the rud-bar mein sust
Dhoron ka hua tha haal patla
bailon ne diya tha Dal kandha
bhainson ke lahu na tha badan mein
aur dudh na tha gau ke than mein
ghoDon ka chhuTa tha ghas dana
tha pyas ka un pe taziyana
garmi ka laga hua tha bhabka
aur ans nikal raha tha sab ka
tufan the aandhiyon ke barpa
uThta tha bagule par bagula
aare the badan pe lu ke chalte
shoale the zamin se nikalte
thi aag ka de rahi hawa kaam
tha aag ka nam muft bad-nam
raston mein sawar aur paidal
sab dhup ke hath se the bekal
ghoDon ke na aage uThte the panw
milti thi kahin jo rukh ki chhanw
thi sab ki nigah su-e-aflak
pani ki jagah barasti thi KHak
Nazm
Barkha-rut
Altaf Hussain Hali