aankhen miche soch mein gum
dhoni ramae koi sadhu jaise baiTha ho
bachche khel rahe hain
jin ki chiKHon se
KHamoshi ke sakin chauhaD mein halchal
jhonke aate hain
lekin ye chup sadhe rahta hai
maut bhi shayad us ke buDhape ko chhune se Darti hai
us ka tan mazi se bojhal hai
aur hamare din us ke bhaari-pan ko
sahmi sahmi nazron se dekh rahe hain
us ke patton ne kyun har konpal ko Dhanp rakha hai
us ki shaKHen kyun miTTi mein ghus kar jaD ban jati hain
Nazm
Bargad ka peD
Muneebur Rahman