barf-aluda hain aankhen
samt ki pahchan mushkil ho gai
kis taraf hain rahaton ke aabshaar
kin ilaqon mein shajar aabaad hain
kaun sa rasta hai larzan
aandhiyon ke shor se
hain kahan husn-e-sadaqat ki suhani wadiyan
silsila-dar-silsila kizb-o-riya ki ghaTiyan
kis taraf hai aane wali saaton ka kohsar
kitne lambe hain yahan mar-e-nasheb
kis qadar unchi hai diwar-e-faraaz
main kinar-e-umr se phislun to shayad hi bachun
aa rahi hai
lamha lamha
bu-e-barf
Nazm
Barf ki wadi
Hameed Almas