اردو हिंदी
Barf ke shahr ki viran guzar-gahon par | Shaahi Shayari
barf ke shahr ki viran guzar-gahon par

Nazm

Barf ke shahr ki viran guzar-gahon par

Javaid Anwar

;

barf ke shahr ki viran guzargahon par
mere hi naqsh-e-qadam mere sipahi hain

mera hausla hain
zindagiyan

apne gunahon ki panah-gahon mein hain
raqs-kunan

raushaniyan
band darwazon ki darzon se Tapakti hui

qatra qatra
shab ki dahliz pe girti hain kabhi

koi madhosh si le
jama mai oDh ke aati hai guzar jati hai

raat kuchh aur biphar jati hai
aur baDh jati hain KHamosh khaDi diwaren

be-sada sadiyon ke chune se chuni diwaren
jo ki mazi bhi hain mustaqbil bhi

jin ke pichhe hai kahin
aatish-e-lamha-e-maujud ki jo

lamha-e-maujud ki hasrat hai
meri nazm ki hairat hai jise

DhunDhta phirta hun main
ghumta phirta hun main barf bhari raat ki virani mein

an-kahi nazm ki tughyani mein
hain bhanwar kitne guhar kitne hain

kitne alapen pas-e-parda la
chashm-e-na-bina ke aafaq mein

kitne be-rang kare
kitne dhanak rang KHala

kitne sapne hain ki jo
shahr ke tang pulon ke niche

resturanon ki mahak oDh ke so jate hain
kitni ninden hain ki jo apne shabistanon mein

walium chaTti hain
jagti hain