barf har aan gire jati hai
baam-o-dar kucha o maidan chup hain
raat ke saya-e-larzan chup hain
koi motor kabhi bhule se guzar jati hai
har qadam ginti hui
apni chundhyai hui aankhon se
warna har samt bas ek aahani KHamoshi hai
koi aawaz na sargoshi hai
aur ye dil bhi ki thi garmi-e-bazar jahan
aaj muddat se bayaban ki surat chup hai
zindagi hai ki kisi taur kaTe jati hai
barf har aan gire jati hai
ye saman barf se Dhak jaega
rah-rau rasta chalte hue thak jaega
umr-e-rafta ke KHat-o-KHal-e-nihan
koi mushkil hi se pahchanega
raaz sar-basta rahenge dil mein
kis ko gham hai ki unhen jaanega
waqt ki girti hui barf gire jaegi
ek dhundlai hui raat kabhi aaegi
zindagi yunhi guzar jaegi
Nazm
Barf-bari
Muneebur Rahman