yahin to kahin par
tumhaare labon ne
mere sard honTon se barfile zarre chune the
usi peD ki chhaal par hath rakh kar
hum ek din khaDe the
yahin barf-bari mein hum laDkhaDate hue ja rahe the
bahak taza boson ki sar mein samae
ham-aghoshi jism-o-jaan ke nashe mein
gai barf-bari ki rut
aur pighalti hui barf bhi bah gai sab
yahan kuchh nahin ab
ki har shai nai hai
haTa kar rida barf ki ghas lahra rahi hai
hari pattiyon ki ghani Tahniyon mein
hawa jab chale to
gae mausamon se guzarti
hamari hansi gunjti hai
Nazm
Barf-bari ki rut
Fahmida Riaz