اردو हिंदी
Barbat-e-shikasta | Shaahi Shayari
barbat-e-shikasta

Nazm

Barbat-e-shikasta

Asrar-ul-Haq Majaz

;

us ne jab kaha mujh se git ek suna do na
sard hai faza dil ki aag tum laga do na

kya hasin tewar the kya latif lahja tha
aarzu thi hasrat thi hukm tha taqaza tha

gunguna ke masti mein saz le liya main ne
chheD hi diya aaKHir naghma-e-wafa main ne

yas ka dhuan uTTha har nawa-e-KHasta se
aah ki sada nikli barbat-e-shikasta se