jo tanhai ke kuchh lamhe
kabhi aa jaen hathon mein
to muTThi bhinch kar apni
chamakte jugnuon ki raushni jaise ye pal
apni hatheli par saja lena
ki hathon se nikal jate hain
kitne qimti lamhe
jo tanhai ki wahshat se
nikal jaane ki ujlat mein
hum aksar chhu nahin pae
utar kar ruh ki gahraiyon mein
raushni bharne se pahle hi
jhaTak kar hum jinhen
phir lauT aate hain
isi be-mehr hangamon ki duniya mein
jahan har pal adhura hai
jahan har sath saya hai
andhere is nagar mein
an-ginat sadiyan bitane mein
kabhi mil jaen kuchh lamhe
to muTThi bhinch kar apni
chamakte jugnuon ki raushni jaise ye pal
apni hatheli par
saja lena
Nazm
Baqa
Sarwat Muhiuddin