dar diwar aur dariche
ek muahida hain
adam-e-mudaKHalat ka mashrut muahida
do mohazzab insanon ke darmiyan
do mutamaddin KHandanon ke darmiyan
diwar
tahzib ki tarjuman
tamaddun ki pahchan
aur baqa-e-bahami ki aaina-dar
hila huquq ki zamanat
baqa-e-tahiyat ki alamat
hait aur ahata
zehni-o-jismani aasudgi
aur
sukh-chain ke liye lazim hai
daKHl dar maqulat
ghair-aKHlaqi hi nahin
ghair-insani rawayya bhi hai
ghar ka haq hai ki wo
dusre ghar ki be-ja mudaKHalat se mahfuz rahe
hum diwar to
hamdard hota hai
KHabar-gir hota hai
KHabar-rasan nahin ban sakta
taKHayyul aasudgi
sukh ghaTati
aur dukh baDhati hai
shakar-ganji paida karti hai
aazurda-dili ka maujib banti hai
fasle diwar ki puKHtagi se nahin
dilon ki saKHti se baDhte hain
puKHta diwar to tamaddun ki baqa hai
suri fasle be-mani ho jate hain
agar qalb-o-nazar shad hon
haq KHalwat KHalij nahin
faraKHi tarfain hai
priwacy ka haq
tahzib-e-insani ki mearaj hai
Nazm
Baqa-e-mohabbat
Shamim Alvi