kai sadiyon se sahra ki sulagti ret par tanha khaDi main sochti hun
nahin koi nahin hai
nahin koi nahin hai jo mere andar bilakti KHamushi ko thapkiyan de kar sula Dale
mohabbat ok mein bhar kar pila Dale
ye kaisi be-niyazi hai
ki jalti eDiyon ki siskiyan san kar bhi baadal chup raha hai
ye kaise rat-jage aankhon mein utre hain
ki jin ke silsile qarnon pe phaile hain
magar main hijr ke mausam liye
kab se
kisi banjar zamin ke KHwab ka tawan bharti hun
Nazm
Banjar zamin ka KHwab
Naz Butt