daraKHt din raat kanpte hain
parind kitne Dare hue hain
falak pe tare zamin pe jugnu
gharon ke andar chhupe KHazane
kaTe phaTe sab badan purane
qadim chikni tawil Dori mein bandh gae hain
kasif Dar ki ghaliz muTThi mein aa gae hain
kahan gae wo dilon ke bandhan
gulab-honTon ki narm qausen
zamin jo rakhi si ban ke
suraj ke hath par muskura rahi thi
kahan gai wo hawa jo pengen baDha rahi thi
wo sabz KHushbu jo band nafe
gali gali phir ke banTti thi
wo hath thame
nahif jismon ki ek lambi qatar jis mein
kahin bhi koi taDaKH nahin thi
ye kaun hain hum
jo sahme peDon
Dare parindon larazte taron
se bandh gae hain
KHud apne sayon se Dar gae hain
Nazm
Bandhan
Wazir Agha