اردو हिंदी
Band muTThi mein honT ke TukDe | Shaahi Shayari
band muTThi mein honT ke TukDe

Nazm

Band muTThi mein honT ke TukDe

Adil Mansuri

;

band muTThi mein honT ke TukDe
aur TukDon mein hanpte suraj

aur suraj mein sabz tariki
aur tariki mein barahna KHayal

aur barahna KHayal mein kashti
aur kashti mein fasl gandum ki

aur gandum ki band muTThi mein
honT ki surKHi kapkapati hui