ban-manus ke kale badan par
hire chamakte hain
ban-manus ki ujli hansi se
bachche Darte hain
ban-manus mujh par chhilke phenkta rahta hai
barkha aati hai aur dane boti hai
jab barkha aati hai aur dane boti hai
main apne dhyan ke jangal mein
chhup jata hun
ban-manus ke kale badan par hire chamakte hain
ban-manus ki ujli hansi se bachche Darte hain
Nazm
Ban-manus
Qamar Jameel