raat din KHwab bunti hui zindagi
dil mein naqd-e-izafi ki lau
aankh bar-e-amanat se chur
mauj-e-KHun be-niyaz-e-maal
dasht-e-be-rang se dard ke phul chunti hui zindagi
KHauf-e-wamandgi se KHajil
aarzuon ke aashob se muzmahil
munh ke bal KHak par aa paDi
har taraf ek bhayanak sukut
koi nauha na aansu na phul
hasil-e-jism-o-jaan be-nishan rahguzaron ki dhul
ajnabi shahr mein
KHak-bar-sar hui zindagi
kaisi be-ghar hui zindagi
Nazm
Ban-bas
Iftikhar Arif