ek sachcha waqia hai jami
aap samjhen to hai ek tamsil bhi
hain hamare ganw mein ek maulwi
jo bichaare hain bahut nadar bhi
ek bakra un ki punji hai wahi
did ke qabil hai jis ki farbahi
ek ghunDe ko jo sujhi dur ki
apne ek sathi se bola ki bhai
ho rahi hai jism mein akDan baDi
is liye ho jae kushti bas abhi
shart hai aasan bilkul muft ki
haar jae hum mein se jo bhi abhi
wo Tapa kar lae bakra jald hi
gosht us ka mil ke khain hum sabhi
ab koi jite ki haare jami
jaan bakre ki yaqinan jaegi
Nazm
Bakra
Asrar jaamayee