dur tak
dur phaili hui raat mein
chandni mein nahaya hua
ek shishe ka ghar
baiza-e-nur
us ke diwar-o-dar
tez jaan-soz KHushbu ke par
sabz patton se tar
surKH gahre gulabon se bhige hue
os ki narm sanson mein sinche hue
dur tak
dur phaili hui raat mein
chandni ka ye ghar
subh tak raat bhar
mera iman hai
mera imkan hai
Nazm
Baiza-e-nur
Farhat Ehsas