اردو हिंदी
Baiza-e-mahram | Shaahi Shayari
baiza-e-mahram

Nazm

Baiza-e-mahram

Krishna Mohan

;

ahd-e-parina mein bhi
zist par tha wahm ka kitna asar

ek ‎oracle ki talqin man kar
shah aagastas ki biwi 'lewiya'

apni angiya ki faza-e-garm mein rakhti thi ek marzi ka anDa roz-o-shab
is ko ye wishwas tha

is ke hone wale bachche aur is chuze ki jins
ek hogi aaKHirash yunhi hua

aashiyan garm-o-shoKH-o-narm se
ek nar nikla to us ki kokh se bhi ek nar paida hua taibres

aur phir us ittifaqi waqe ne to zanan-e-rom mein
aam kar di baiza-e-mahram ki tarbiyat ki rasm