bahut shor hai
matahat laDkiyan mere zanu pe sajda karen
KHauf-aludgi shor-o-shar ki pazirai mein ro paDe
ye zaminen siyah-nasl ghoDon ki aawaz se jagti hain
chashm-e-shab-kor har chandni-raat mein ek jalsa karegi
zamin fil-e-be-zor ki tarah paTti rahi hai
unhi saaton mein ba-shart-e-sikandar koi aaine ke barabar milega
wo hansti hai aur saya-e-afiyat ke tasawwur ko majruh karti hai
use fil-e-be-zor ke samne Dal do
us ke chehre ko TuTe hue aaine se musaKHKHar karo
wo hansti hai aur girya-e-nim-shab ke samundar pe apna alam kholti hai
hath jal makDiyon se kurede hue
panw mein ghas lipTi hui
aafiyat hai samundar ki bahti hui ghas mein
aafiyat hai samundar ki aawaz mein
shor hai
shor mein aafiyat
matahat laDkiyo mere zanu pe sajda karo
ye zaminen siyah-nasl ghoDon ki aawaz se jagti hain
Nazm
Bahut shor hai
Mohammad Anvar Khalid