bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni dur
ki dil kahin hai nazar hai kahin kahin tum ho
wo jis ko pi na saki meri shola-ashami
wo kuza-e-shakar o jam-e-ambagin tum ho
mere mizaj mein aashuftagi saba ki hai
mili kali ki ada gul ki tamkanat tum ko
saba ki god mein phir bhi saba se begana
tamam husn o haqiqat tamam afsana
wafa bhi jis pe hai nazan wo bewafa tum ho
jo kho gai hai mere dil ki wo sada tum ho
bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni dur
hijab-e-jism abhi hai hijab-e-ruh abhi
abhi to manzil-e-sad-mehr-o-mah baqi hai
hijab-e-fasla-ha-e-nigah baqi hai
visal-e-yar abhi tak hai aarzu ka fareb
Nazm
Bahut qarib ho tum
Ali Sardar Jafri