bahut KHub-surat ho tum bahut KHub-surat ho tum
kabhi main jo kah dun mohabbat hai tum se
to mujh ko KHuda ra ghalat mat samajhna
ki meri zarurat ho tum bahut KHub-surat ho tum
hain phulon ki Dali pe banhen tumhaari
hain KHamosh jadu nigahen tumhaari
jo kanTe hun sab apne daman mein rakh lun
sajaun main kaliyon se rahen tumhaari
nazar se zamane ki KHud ko bachana
kisi aur se dekho dil mat lagana
ki meri amanat ho tum
bahut KHub-surat ho tum
hai chehra tumhaara ki din hai sunahra
hai chehra tumhaara ki din hai sunahra
aur is par ye kali ghaTaon ka pahra
gulabon se nazuk mahakta badan hai
ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai
bikhero jo zulfen to sharmae baadal
farishte bhi dekhen to ho jaen pagal
wo pakiza murat ho tum bahut KHub-surat ho tum
jo ban ke kali muskuraati hai aksar
shab hijr mein jo rulati hai aksar
jo lamhon hi lamhon mein duniya badal de
jo shair ko de jae pahlu ghazal ke
chhupana jo chahen chhupai na jae
bhulana jo chahen bhulai na jae
wo pahli mohabbat ho tum bahut KHub-surat ho tum
Nazm
Bahut KHub-surat ho tum
Tahir Faraz