bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle
agar sada na uThe kam se kam fughan nikle
faqir-e-shahr ke tan par libas baqi hai
amir-e-shahr ke arman abhi kahan nikle
haqiqaten hain salamat to KHwab bahutere
udas kyun ho jo kuchh KHwab raegan nikle
wo falsafe jo har ek aastan ke dushman the
amal mein aae to KHud waqf-e-astan nikle
idhar bhi KHak uDi hai udhar bhi zaKHm paDe
jidhar se ho ke bahaaron ke karwan nikle
sitam ke daur mein hum ahl-e-dil hi kaam aae
zaban pe naz tha jin ko wo be-zaban nikle
Nazm
Bahut ghuTan hai
Sahir Ludhianvi