bahut dinon ki baat hai
faza ko yaad bhi nahin
ye baat aaj ki nahin
bahut dinon ki baat hai
shabab par bahaar thi
faza bhi KHush-gawar thi
na jaane kyun machal paDa
main apne ghar se chal paDa
kisi ne mujh ko rok kar
teri ada se Tok kar
kaha tha lauT aaiye
meri qism na jaiye
na jaiye na jaiye
mujhe magar KHabar na thi
mahaul par nazar na thi
na jaane kyun machal paDa
main apne ghar se chal paDa
main chal paDa main chal paDa
main shahar se phir aa gaya
KHayal tha ki pa gaya
use jo mujh se dur thi
magar meri zarur thi
aur ek hasin sham ko
main chal paDa salam ko
gali ka rang dekh kar
nai tarang dekh kar
mujhe baDi KHushi hui
main kuchh isi KHushi mein tha
kisi ne jhank kar kaha
parae ghar se jaiye
meri qism na aaiye
na aaiye na aaiye
wahi hasin sham hai
bahaar jis ka nam hai
chala hun ghar ko chhoD kar
na jaane jaunga kidhar
koi nahin jo Tok kar
koi nahin jo rok kar
kahe ki lauT aaiye
meri qism na jaiye
bahut dinon ki baat hai
faza ko yaad bhi nahin
ye baat aaj ki nahin
bahut dinon ki baat hai
Nazm
Bahut dinon ki baat hai
Salam Machhli shahri