anokha aur naya gham shart hai koi
tumhaare KHud-kushi karne ki
to phir bhul jao
yahan to bas wahi gham hain
purane gham
ki jin se kaam ye duniya chalati aa rahi hai
magar tum ho ki hans dete ho un par
agar ye gham tumhein gham hi nahin lagte
ki mahbuba tumhaari bewafa hai
ki wo bachcha
chhaTi jis ki manana thi tumhein aaj
nak mein hai oxygen tube us ke
to phir ye goliyan salfas ki be-kar mein tum jeb mein rakkhe hue ho
inhen ja kar usi kaThiya mein rakh aao
ki jis mein kal hi tum ne sal bhar ke waste gehun bhara hai
Nazm
Bahrupiya
Shariq Kaifi