patti patti jhum rahi thi
mast hawa thi
mahak raha tha phulon ki KHushbu se sara bagh
bagh-bahaar ko dekh ke bhaunra
mast hua lalchaya
us par kar de jaan nichhawar
us ke man mein aaya
shauq se be-KHud ho kar wo ek phul ki jaanib lapka
itne mein mali ne baDh kar toD liya wo phul
ji bhanwre ka TuT gaya
aur ho gai KHatm bahaar

Nazm
Bahaar
Abdul Majeed Bhatti