اردو हिंदी
Bahaar ka qarz | Shaahi Shayari
bahaar ka qarz

Nazm

Bahaar ka qarz

Sufia Anjum Taj

;

dahakti aag mein pighal ke
qatra qatra

gir rahi hain chuDiyan
ye jashn-e-atishin hai kya bahaar ka

ki jis ki dard-nak chiKH se laraz raha hai aasman
tamam rang-o-bu ke silsile

ye khet phul Daliyan
jhulas jhulas ke sab hue barahna aur be-zaban

ufuq pe dard se likhe huruf
kab se hain lahu mein yun hi tar-ba-tar

ye hadsat nau-ba-nau
kabhi na ruk saken agar

to waqfa hi koi mile qarar ka
ye tai karen

wo kaun hai chukaega jo qarz us bahaar ka