bahaar aai to jaise yak-bar
lauT aae hain phir adam se
wo KHwab sare shabab sare
jo tere honTon pe mar-miTe the
jo miT ke har bar phir jiye the
nikhar gae hain gulab sare
jo teri yaadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain
ubal paDe hain azab sare
malal-e-ahwal-e-dostan bhi
KHumar-e-aghosh-e-mah-washan bhi
ghubar-e-KHatir ke bab sare
tere hamare
sawal sare jawab sare
bahaar aai to khul gae hain
nae sire se hisab sare
Nazm
Bahaar aai
Faiz Ahmad Faiz